Awam mein yeh baat mashhoor hai ke qayamat ke roz logon ko maa ke naam se puraka jaye ga yeh baat shareat mein durust nahi hai. Kyun kay hadees pak hai ke. “ Qiyamat ke din tumhe tumahray bapon ke naam se puraka jaye ga toh apne naam achay rakha karo” ( Mashqat bahawala musnandh Ahmadh Abu Dawood ) Sahih bukhari mein bhi is unwan se aik baab qaim hai.