Famous Kala Jadu, Black magic specialist in Rawalpindi and Bangali Amil baba ...
A LOVE STORY
1. A love story that woke me up
Yeh kahani ek princess aur ek mamuli soldier kii hai, ek soldier Jo us
princess se be-intehaan mohhabat karta tha…….
Woh jab apni mohabbat ka izhar princess se karne gaya, tab princess
ne bade hi rob se pucha- “kaun ho tum, kya tum koi prince ho, ya phir
koi kalakar ho, ya phir ish saltanat ke sabse bahadur sipahi?”
Sipahi ne bade hi samman aur pyar se kaha-“raj-kumari, na toh main
prince hoon, naahi main koi kalakar,aur naahi main yeh keh sakta
hoon kii main yahan ka sabse bahadur sipahi hoon, par main itna keh
sakta hoon kii jitna pyar main aapse karta hoon utna koi aapse nahi
kar sakta”
Princess Ne bade hi gurur se pucha –“kii tum mere liye kya kar sakte
ho?”
Sipahi ne kaha –“siwaye intezar ke main aap ke liye kuch nai kar
sakta,”
Princess-“isme kya hai, yeh toh koi bhi kar sakta hai”
Sipahi ne kaha-“main bin kuch khaya-piye 100 dino tak aapke mahal
ke bahar aapka intezar karunga”
Princess bin kuch kahe chalii gayi……….sipahii uske mahal ke bahar
intezar mein khara rehta hai.
Aandhi, tufaan, barish…..kitne hi mausam aaye aur gaye par who
wahan se hila nahi, woh wahan khara raha……10 din 20 din 30, 40 50
60…….90 din...
99 din beet Gaye…….
100 th day ki suruwat hone se pehle hi woh wahan se chala jata
hai……………
Mujhe pata hai kii ish kahani KO padne wallon ke maan mein yeh sawal aa raha hoga kii wo wahan
se chala kyon gaya?????????
Well, ek bande ke pespective se main bataun toh, iske piche bas ek hii karan tha:
Woh isliye 100 th day ko chala gaya tha kyonki use darr tha kii aggar
princess din khatm hone k pehle nahi aayi toh wo zindagi bhar yehi
soch kar reh jayega kii usne ek pather dil aurat se pyar kiya, aur yeh
use gawara nahi tha, isiliye usne socha kii wo 100 th day ka intezar
kiye bina hii wahan se chala jayega, taki kamse-kam woh yeh toh keh
2. payega kii ho sakta tha kii princess aayi hoti, par sayad usme hii itni
himmat nahi thi kii wo 100 th day tak wait karta….
Sayad isiko saccha pyar kehte hain jo kafi kam logon samajh pate hain, aur jab who samajh jate hai
tab unse pyar karne wala kafi dur chala jata hai…..
THE END